Truyen2U.Net quay lại rồi đây! Các bạn truy cập Truyen2U.Com. Mong các bạn tiếp tục ủng hộ truy cập tên miền mới này nhé! Mãi yêu... ♥

Part-3


Thank you all for your responses.Really means a lot to me.Here is the next part.Will wait for the reviews.:)

----------------------------------------------------------------------------------

"Sameer! Suitcase se wo shawl nikal ke de jara.Bahut thand lagi hai.'' Nanaji asked Sameer as they stepped down at Almora station.

"Ji Nanu!Aap kuch khayenge nehin? '' Sameer asked as he clicked open the secret password.

"Nahin yaar.Abhi to khaya tha.Tujhe bhook lagi hai kya?'' Nanaji enquired as he took the shawl from the suitcase.

"Aap mujhe jhat se samajh jate ho Nanu.Sach me,badi bhook lagi hai.'' Sameer was elated with Nanu's understanding.

"To kiska intezaar ho raha hai ? Chalo phir. '' Nanaji thumped on Sameer's back while Sameer checked for locations of good restaurants.

---------------------------------------------------------------------------

"Nisha! Beta jaldi kha le.School jana hain na.'' Nirupama called Nisha from kitchen.

Nisha was still in a haze and only fidgeting with the fork and spoon while a plate of sandwich and cup of Horlicks lay abandoned on the table.

"Kya baat hai beta? Khana acha nahin bana hai?'' Niru asked Nisha tying her short hair in a high ponytail.

"Mujhe aloo paratha khana hai.Mumma ne promise kiya tha ki wo bana degi mere liye.Ab wo to book likh rahi hai.Aap bana doge mere liye,Please.'' Nisha asked in anticipation.

"Bas itni si baat hai.Zarur bana dungi.Lekin ab to time nehin hai.Tu isse kha le .Sham ko bana dungi. '' Nirupama cheered up an upset Nisha.

"Thank you Aunty.Aap na best ho.'' She kissed Niru looking at the door hoping that if her mother would come in any moment.

"Acha chal ab ye fatafat complete kar.'' Nirupama said as she packed her school bag.

-------------------------------------------------------------------------------------

"Bhaiya! 2 plate aloo paratha khila do.'' Nanaji requested the waiter .

"Nanu! Aap bhi na.Wo waiter mujhse bhi chota hai aur apko wo Bhaiya lagta hai.'' Sameer smiled at Nanu's antics.

"Tu kya samjhta hai.Mein Buddha ho gaya hun? Buddha hoga tera baap.Mein to tujhse jyada jawan hoon.Shakal dekhi hai apni.Vishakha ki baat sun le.Shaadi karle.'' Nanaji tried to make him understand.

"Nahin Nanu.Aap jo kahenge main karunga lekin shaadi ki baat mat kijiye.Yeh shaddi ,bache in sab chakaron mein nehin padna.Mein jaisi bhi hoon acha hun,khush hoon''. Sameer cleared his point and drank the whole glass of water.

"Acha,acha.Ab mood thik karle.Le ab Aloo paratha aa gaya hai.Kha le.Badi bhook lagi thi na.'' Nanaji placed the hot plate of steaming aloo paratha infront of him and caressed his head.

"Pata hai Sameer!''

"Kya Nanu?'' Sameer asked munching a big bite of aloo paratha.

"Tu ab bhi bacha hai. '' Nanu said with a confirmed tone to which he reacted shocked and then a smile crept to his lips.

-----------------------------------------------------------------------------------

"Nisha! Homework khatam ho gaya kya beta? '' Nirupama asked while checking their School Diaries.

"Haan Aunty,bas yehi ek sum baki hai.Abhi khatam ho jayega.'' Nisha answered while busy in calculating 7+8.

"Rishav! Tera kahan tak khatam huya?'' Nirupama asked Rishav as she saw him playing with the ball.

"Khatam kya karna hai? Iss moti se dekh ke likh lunga.'' He answered confidently.

" Main tujhe apna homework kyun dikhaun.Khud karle.Cheating karna buri baat hai.'' Nisha said as she remembered her mother once advising her.

"Tu bhi to cheating kar rahi hai.'' Rishav pointed.

"Maine kab cheating kiya? Main apna kaam khud kar rahi hoon.'' Nisha argued back.

"Agar apna kaam khud kar rahi hai to apne ghar kyun nahin jaa rahi hai? " Rishav questioned.

"Kyunki Mumma ghar pe nehin hai.Aur unhone Aunty ko bola hai ki mein yahin rahoongi unke lautne tak. '' Nisha tried to answer Rishav's every question.

"Bas! Ab dono ladai band karo aur chalo kuch khalo.'' Nirupama commanded.

"Aunty mere liye Aloo paratha banaya hai? '' Nisha asked in excitement.

''Haan beta banaayi hoon.Hath dhoke aaja main laati hoon.Rishav ! Tu bhi aa jaa.Wo TV band kar.Pehle padhai khatam kar aur phir jo man hei kar.'' Nirupama ordered with a tone of authority.

"Mummy Mere liye kya special banaya hai? Pizza ya burger?'' Rishav asked while coming to the table.

"Pizza ,burger? Main tujhe hotelwali lagti hoon.Variety ka khana banake doongi.'' Nirupama hissed in irritation.

"To us Moti ke liye kyun banaya.Aloo paratha.Main nahin khaunga.Uske liye banayi ho use dedo.'' Rishav was definitely annoyed.

"Rishav! Kyun jid kar rahe ho? Aane de tere Papa ko.Batati hoon ki kitna bigad gaya hai tu.'' Nirupama said with a tone of determination.

"Rishav! Aaja khale.Kal Aunty tere liye bana degi Pizza.Main bolungi to wo zaroor maan jayegi.'' Nisha tried to cheer up her friend and even tried to feed him a bite.

"E Moti.Mujhse tu baat hi mat kar.Meri Mumma ko apna Mumma bana liya hai.Teri wajah se wo mujhe puchti bhi nahin.Mera Mummy hai wo.Samajh gayi na.Aloo paratha khani hai to apni Mumma ko bol .'' Rishav grunted in frustration.

"Meri Mumma to nahin hain na yahaan. ''Nisha's eyes welled up in tears.

"To main kya karun? ''Rishav shrugged and ate the Paratha since he was feeling hungry.

---------------------------------------------------------------------------------

"Munna! Bahut acha arrangement hai yaar.Nanu ko yeh jagah bahut pasand aaya.Acha wo jo meeting ka report mujhe mail karde.Okay mein chalta hun.Bye.'' Sameer hung off.

"Arey Sameer! Tu kab jaa raha hai wapas? " Nanaji asked as he settled on the sofa.

"Ab nahin.15-20 din ruk ke jaunga.Munna hai wahan aur maine Namrata ko sab kuch samjha diya hai.To aap befikre rahiye.'' Sameer replied while checking the inbox for any important messages.

"Tu yahan par hai to thoda break le le.Kaam to chalta rahega.Tera iss decision se mein isliye raji nahin tha ki sirf mujhe badlav chahiye balki isliye ki tujhe bhi badlav ki zaroorat hai.'' Nanaji said.

"Wo Sorry Nanu. Mujhe bhi yeh jagah acha lag raha hai lekin wo meeting bhi behadh zaroori hai.Bas uska kaam ache se khatam ho jaye phir to sirf masti karenge.'' Sameer excitedly replied.

"Koi jaldi nahin hai.Ache se kaam kar. ''Nanaji kissed his forehead as Sameer hugged the most important person of his life.His friend,philosopher and pathfinder.

-----------------------------------------------------------------------------------

"Rishav! Rishav!'' Nisha nudged Rishav while Rishav was completely focused on the ongoing match on TV.

"Haan bol Moti! Ab kya chahiye? ''Rishav asked during the ad break.

"Wo..tu naraj hai mujhse?'' Nisha asked with apprehensions.

"Naraj nahin hun gussa hoon.Ab jaa aur so jaa mera mummy ko pakad ke.Good night. ''Rishav spoke as he concentrated now again on match.

" Wo...tujhse ek baat karni thi.''Nisha said as she sat close to him so that he could hear her.

"Ab phir kya hai?'' Rishav asked in confusion.

"Ye kuch paise hain.Mumma promise.Yeh mere paise hein.Apna piggy bank se li hoon.Tu bas iss paise se mere liye ek patang le ana.'' She requested him.

The world had lost its colours and every relation felt shallow with the disappearance of her mother.

"Patang kyun? Chocolates ya ice cream kyun nahin? ''Rishav was shocked with her unusual demand.

"Nahin mujhe patang hi chahiye.Tu la dega na?'' She asked as tears flowed from her eyes finally breaking the barriers.

"Arey! Ye kya?E moti! Tu ro kyun rahi hai.La dunga.Pakka.Nahin mat ro.Tu aise royegi to mumma ko lagega ki maine tere saath jhagda kiya aur phir mujhe daant padegi. ''Rishav consoled his best friend.

"Mujhe... wish kite ...bhejni hai.Mumma... ko wapas... bulana hai.'' Nisha said in hiccups while Rishav was feeling terrible seeing her in such a state.

"Hum dono unko kite bhejenge.Wo badi jagah pe hai na.Kite pahunchte hi aa jayegi.'' Rishav gave her a hope,a new light.

"Wo aajayegi na? Pakka.?'' She still had doubts.

"Arey haan.Wish kite na kabhi cheating nahin karti.'' Rishav tried to cheer her up.

"Waise Moti! Maths homework ho gaya tera?'' Rishav asked while concentrating on the match again.

"Haan ho gaya.Pata hai sab ke answers bhi sahi nikle.'' Nisha said in happiness of victory.

"Acha.Very good.Waise teri copy kahan hai? Dikhayi nahin de rahi hai''. Rishav asked looking around.

"Rishav! Tu na cheater bhi hai aur gadha bhi.Khud homework khatam kar.Copy to mein bilkul bhi nehin dungi.'' Nisha showed a topper's attitude.Afterall she is the daughter of a topper.

"Thik hai.Mat dikha.Mein khud kar lunga.Teri patang bhi nahin launga''. Rishav tried emotional blackmailing.

"Acha.Phir se roungi to bhag ke le ayaega.'' Nisha was sure that her best friend can never see tears in her eyes.

"Agar tum dono ka Tom and Jerry episode khatam ho gaya ho to dono padhai karo.'' Nirupama called in from the room as she tossed in her bed.

"Naina! Bas jaldi se wapas aa jao.Nisha ke liye to aa jao ".Nirupama said as she clicked open her cell to call her husband.

Almora City hospital

"Aap Raunak ji hein? " Doctor asked Raunak as he came from the OT.

"Haan kya baat hei Doctor.Koi problem hai.?'' Raunak asked with worriedness written over his face.

"Patient ki haalat badi nazuk hai.Hume dar hai ki iss surgery ki wajah se unhe kuch complications ho sakte hein.Agar aap raji hein tabhi hum aage badhenge''. Doctor cleared his point.

"Ab hum kya raji honge Doctor.Ghar mein unki ek bacchi hai ,saath aur koi nahin hai.Agar kuch form fill up ki zaroorat hai to bataiye mein abhi bharlunga.'' Raunak pleaded him.

"Aap tension mat lijiye.Bas dua kijiye ki wo thik ho jayein''. Doctor comforted and left.

" Ab ghar mein Niru ko kya bataunga?'' Raunak was confused as his cell rang with Niru's ID.

(To be continued)

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Com